chest pain treatment aur pasliyon kay dard ka ilaj
Seene Ka Dard | Chest Pain In Urdu | Pasli ka dard ki Waja aur Ilaj:
Heeng se seene ka dard aur pasli kay dard ka mukammal ilaj.
Ye dard seene kay us maqam par hota hai jahan dono pasliyan ek doosre se milti hain. Isko kori ka dard bhi kaha jata hai. Ye dard bohot khatarnak qism ka hota hai. Kiun kay is maqam se dil bohot qareeb hota hai aur dard ka sadma jab dil par asar karta hai to heart fail hone ka khatra paida hojata hai. Mundarja zel tarkeeb se istemal karwaen. Halaq se neeche utarte hi apna asar dikhati hai. Do rati heeng ek munaqa kay andar rakh kar khilaen. Agar kuch takleef baqi rahe to nisf ghanta kay baad ek aisi hi khorak aur de den aur qudrat ka karishma dekhen.
Dard pasli kay liye umda heeng ek maasha lekar baareek karen aur murghi kay ande ki zardi mai milakar pasli par lep karen.