Shab e Qadar aur Taaq Raaten kon si hoti hain
Ramzan ki Maloomat:
Shab e Qadar ya Laila Tul Qadr Kab Ati Hai?
Ummul Momineen Hazrat Ayesha R.A farmati hain kay
“Huzoor Peace Be Upon Him ne irshad farmaya ke Lailatul Qadr ko Ramzan ke akhir ashra mai talash karo.”
Taaq Raaten Kon Si Hoti Hain?
Jamhoor e Ulma kay nazdeek akhir ashra ikkeeswee raat se shuru hota hai, Aam hai ke mahina 29 tarikh ka ho ya 30 tarikh ka, is se hadees bala ke mutabiq shab qadr ki talash 21, 23, 25, 27, 29 ki raaton mai karni chahiye. Agar mahina 29 din ka ho to tab bhi akhir ashra yahi kehlata hai.