Ghar se Bahar Nikalte Waqt ki Dua

ghar se nikalte waqt ki dua
68 / 100

Ghar se Bahar Nikalte Waqt ki Dua

ghar se nikalte waqt ki duaghar se bahar nikalne ki dua

Ghar ne nikalne ki islamic dua:

Hazrat Usman Ghani R.A se riwayat hai ke Rasool Allah Peace Be Upon Him ne farmaya ke jo musalman apne ghar se nikle safar ke irada ya baghair irada safar se aur mundarja zel kalimat parhen to us musalman ko ghar se nikalne ka khair zaroor milega aur wo shar se mehfooz rakha jaega.

Dua pa image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma hai.

“Main Allah par imaan laya mai ne Allah ko mazbooti se thaam lia mai ne Allah par bharosa kia aur mai yaqeen karta hoon ke koi sa eii aur harkat aur koi quwat-o-taqat kam nahi kar sakti Allah ke hukum ke baghair.”

 

Doosri dua:

Barwayat Hazrat Umme Salma R.A anha ek hadees manqool hai jis se maloom hua hai ke Rasool Allah Peace Be Upon Him jab ghar se bahir tashrif le jate to apni nazar-e-mubarak aasman ki taraf utha kar ye dua parhte.

Dua ap image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma mundarja zel hai.

“Ae Allah! mai teri panah chahta hoon is se ke gumrah hojaun ya koi mujhe gumrah karden ya kisi par zulmĀ karun ya mujh par koi zulm kare ya jahil ban jaun ya mere saath koi jahalat se paish ae”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *