Uses and Benefits of Aloe Vera in Urdu

benefits of aloe vera in urdu

Uses and Benefits of Aloe Vera in Urdu

Aloe Vera ke uses aur benefits la ta’adad hain lekin hum un sab se na waqif hain. Lekin is post mai hum ne aloe vera ke saare faide ek jaga sameta hain. Ta ke logon tak ye faide aam hojae.

 

uses of aloe vera in urdu aloe vera ke faide

Aloe Vera Gel Kay 10 Lajawab Fayde:

Aloe Vera ki maqbooliyat ke pesh e nazar ab is se sab hi waqfiyat rakhte hain. Ye poda dawai ki waja se zyada maqbool hai. Aloe Vera ka poda ba asani ghar mai lagaya ja sakta hai aur tezi se barhta hai itna ke agar ap ise roz bhi istemal karen to ye khatam nahi hota. Is ek pode mai jitne fawaid paye jate hain to is aitbar se ise har ghar mai hona chahiye. Aloe Vera ke chand ehem fawaid mundarja zel hain.

  1. Pet andar karne ke liye 3 chamach aloe vera gel aur grape fruit dono ko milakar pi len.
  2. Dry baalon ke liye do chamach aloe vera gel, do chamach coconut oil aur do chae ke chamach coconut pees kar milalen aur nahane se pehle balon mai istemal karen aur 20 minute baad dholen.
  3. Poras ko band karne ke liye ek chae ka chamach aelo vera gel aur leemu ka ras chand qatre milakar chehre par lagalen.
  4. Ye Sun block ka bhi kam karti hai, dhoop mai nikalne se pehle ise chehre par lagane se chehra kaala nahi hota.
  5. Jal jane ki soorat mai foran aloe vera ka ras lagalen. Jalan door aur is ke jaraseem kash zakhmon ko kharab hone se bachate hain aur chaale aur bhi theek hojate hain.
  6. Naakhuno ke imraz naakhuno ke fangus ya deegar imraz mai is ka gooda laga kar ya is ke ras mai rui dubo kar naakhun par rakh kar patti baandh len.
  7. Aloe Vera ka ras 2 se 3 ghante chehre par lagane se chehre ka rang nikharta hai aur chehra tar o taza hojata hai.
  8. Stretch marks se bachao ke liye doran hamal rozana pet par aloe vera ka ras lagaen.
  9. Joron ke dard ke liye rozana ek chamach aloe vera ka gooda khaen , joron ka dard khatam hojaega.
  10. Qabz aur bawaseer ki shikayat ke liye raat ko sone se pehle 2 chamach aloe vera khalen. 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *