Sehri ko Faide Mand Banane ka Menu in Urdu

Urdutotke provides you health full menu of sehri in Urdu and Roman Hindi.

sehri ko faide mand banane ka menu in urdu

Health full menu of sehri:

Agar sehri ke menu men chand choti choti cheezen shamil kar li jaen to kai tibbi fawaid hasil honge,

Maslan,

  1. Dahi ki lassi pine se kamzori,piyas aur badhazmi se bacha ja sakta he.
  2. Sehri men 5 khajooren khane se poora din jism men glucose ki kami waqia nahi hogi.
  3. Roti ke sath daal ya kam roghan wali ghiza ko tarjeeh den.
  4. Taza phalon ka juice aur khajoor ka istemal zarur karen.
  5. 1 cup doodh men 1 cup pani mila kar pine se poore din tawanai hasil hogi aur piyas nahi lage gi.
  6. Apni sehri men jao ka dalya,doodh aur shehed ke sath zarur tanavul farmaen taake fiber hasil ho.jis se aanton men khushki nahi hogi.
  7. Sehat mand roze ke liye bharpoor sehri zaruri he.jitna mumkin ho parathe,roghani aur tez mirch masalhe wale khanon se parhez karen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *