Durood e Khizri ki Fazilat in Urdu
Ye Durood e Khizri Auliya Allah ke aksar maamool men raha he. Be shumaar auliya ne DUROOD-E-KHIZRI ko parha he. K has kar HAZRAT MIYAN SHER MOHAMMAD SAHIB SHARQPOORI R.A.T.A aarif-e-kaamil ke baare men bayan kiya jata he ke aap ye durood DUROOD-E-KHIZRI kasrat se parha karte the aur apne murideen ko bhi yahi DUROOD parhne ki talqeen farmaya karte the. Kiun kay ye durood alfaaz ke lehaz se mukhtasir he magar maaiyene ke lehaz se jaama he. Is DUROOD-E-KHIZRI ka parhne wala HUZOOR-E-AKRAM ka mehboob ghulam ban jata he. Aur deen-o-dunya men ise kisi cheez ki koi kami nahi rehti aur sukoon-e-qalb ki dolat se mala maal ho jata he.