elaj-e-azam ya raufu benefits in urdu
ya raufu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA RAUFU (BARHA MUSHAFIQ-O-MEHERBAAN,WO JO BARHA MUSHAFIQ-O-MEHERBAN HE)”.
YA RAUFU ko jo koi bakasrat parhe ga zalim ka dil is par meherban hoga aur sab log is ko dost rakhen ge aur INSHAH ALLAH is par meherban hon ge.
jo koi is ism YA RAUFU ka bakasrat wird karega to ALLAH TA’ALA is par apni barkaten nazil kare ga.
jo kisi mazloom ko zalim ke hath se churhana chahe YA RAUFU 10 baar parhe zalim iski shifa’at qubool karon ga.
jo shakhs 10 martaba DUROOD SHAREEF aur 10 martaba YA RAUFU parhe ga INSHAH ALLAH iska ghussa rafa ho jaey ga aur dosre ghazabnak shakhs par dam kare to uska bhi ghussa door ho jaey ga.