elaj-e-azam ya qawiyyo benefits in urdu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam ya qawiyyo.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
ALLAH TA’ALA ke is paak naam ya qawwiyo ka matlab is ke laghvi maino men bhi panhan hen ke ALLAH TA’ALA JALLA SHANAHU sab se zyada taqat wala aur bartar wala he.jab bhi koi dushman aap par haavi hone ki koshish kare to foran is paak naam YA QAWWIYO ka wird shuru kar den.boht jald wo aap ke qabu men ajaeyga.mardana taqat barhane ke liye ya mardana kamzori ho to rozana ta husool-e-maqsad awal-o-akhir 11, 11 martaba durud shareef ke sath 2100 martaba YA QAWWIYO parhen aur pani men dam kar ke piyen.