Darood e Mahi:
Darood e Mahi ki Fazilat:
Darood-e-mahi ki barhi fazilaten bayan ki gai hen.jo shakhs is darood-e-mahi parhe ga marte dam tak us ka imaan INSHAH ALLAH qaim rahega.ALLAH ke ehsanat is par barhte rahen ge.is ke gunahon ki aag bujh jaey gi.is ki umar ache kaamo men guzre gi.iski umar men numaya barkat hogi.iski aulad men barkat hogi.iski aulad tabahi aur barbadi se har halat men bachi rahegi.is ke saare ghar men har waqt barkat hogi.is ke ghar men har haalat men salamti aur aman hoga.is ke maal aur asbab men barkat hogi.darood-e-mahi parhne wale ki 4 pushton tak barkat rahegi.
Is darood shareef ki sanad ye he ke ek roz NABI-E-KAREEM(S.A.W) masjid-e-nabvi men tashreef farma the ke AAP(S.A.W) ke paas ek airabi aya is ke paas ek barha bartan tha jise usne kaprhe se dhanp rakha tha us airabi ne wo bartan AAP(S.A.W) ki khidmat-e-aqdas men pesh kiya.NABI-E-KAREEM(S.A.W) ne poocha ae airabi is bartan men kya he?
To us airabi ne arz kiya YA RASOOL ALLAH(S.A.W) 3 din se is machli ko paka raha hun magar ye bilkul bhi pak nahi rahi he.is par aag ka bilkul bhi asar nahi hota ab AAP(S.A.W) ke paas laya hun ke AAP(S.A.W) ise achi tarah jante hen.AAP(S.A.W) ne machli se daryaft kiya.to machli ko ALLAH ne quwat-e-goyai ata farma di.wo bolne lagi.us ne arz kiya men pani men kharhi thi ke ek aadmi aya aur ek darood parh raha tha.us ki awaz mere kaan men parhi aur men poora darood suna.NABI-E-KAREEM(S.A.W) ne farmaya ke ae machli wo darood parh kar suna chunacha is ne parh kar sunaya to AAP(S.A.W) ne HAZRAT ALI(R.A) ko farmaya ke AE ALI(R.A) is darrod ko likh lo aur logon ko sikhao.lehaza is darood ko DARROD-E-MAHI kaha jata hai.