darood parhne ki fazilaten to har koi janta he magar 1 darood-e-pak parhne se 1 lakh darood shareef ka sawab kese milta he aeye iski haqeeqat jante hen.
Darood-e-lakhi musalmano ke mashhoor badshah sultan mehmood ghaznavi ki taraf mansoob he kaha jata he ke sultan mehmood ghaznavi ka mamool tha ke wo rozana sidqe dil se bator-e-wazifa NABI-E-KAREEM(S.A.W) ki zaat-e-girami par 1 lakh martaba darood-e-pak parha karte the.1 lakh martaba darood parhne men raat din ka beshtar hissa sarf ho jata is wajah se umoor-e-saltanat ko sar anjaam dene ke liye fursat ka waqt boht kam milta tha.is tarah in ki wasee-o-areez saltanat men baaz oqaat intezam durust na rehta.ek raat alam-e-khuab men sultan mehmood ghaznavi ko NABI-E-KAREEM(S.A.W) ki ziyarat naseeb hui aur AAP(S.A.W) ne khuab hi men ye darood(darood-e-lakhi) sikhaya.aur farmaya namaz-e-fajar ke baad ise 1 baar parh liya karo to 1 lakh martaba darood-e-pak parhne ka sawab mile ga.