Sesame Seeds (Til) Health Benefits in Urdu
Sesame Seeds in Urdu:
- Sesame seeds ko urdu mai til kehte hain aur chote chote safed danon ki shakal ke hote hen.
- Sesame seeds ka mizaj garam tar he.
- Sesame seeds apne zaiqe aur roghan ki wajah se ek khush zaiqa ghiza he.
- Sesame seeds ki aamezish ki wajah se doosri ghizaon ka zaiqa barh jata he.
- Sesame seeds aisi ghiza he jo gosht jese khuas rakhti he.
- Dar haqiqat sesame seeds taqat hasil karne aur umar barhane ka behetreen zarya he.
- Khush qismati se sesame seeds hamare mulk men aam paya jata he.
- Sesame seeds purane zamane men pehelwan taqat barhane ke liye istemal karte the.
- Mehnat kashon ki mazbooti aur dehaat ke baashindon ki darazi-e-umar ka raaz sesame seeds jesi mamoli si cheez men poshida he.
- Sesame seeds men lesi then ki wafir miqdar mojood hoti he.
- Lesi then ek phosphoras aamez chiknai he jo baafton aur patthon ki sehat ke liye nehayat zaruri he.
- Jo log gosht nahi khate unhen sesame seeds ka istemal zarur karna chahye.
- Sesame seeds ke istemal se burhape men bhi jawani ki bahar rehti he.
- Sehat ke sath lambi umar paate hen.masane ki quwat ko barhata he aur peshab ke jumla e amraz men mufeed he.