health benefits of vegetable(sabziyan) in urdu
green vegetables
benefits of vegetables
benefits of eating vegetables
vegetables benefits
healthy vegetables
vegetables health benefits.
tibbi mahireen ka kehna he ke insan ki bunyadi zaruriyat sabzi he.sehat mand,taro taza aur chaako choband rehne ke raaz sabzi khori men poshida hen.aaj ke dor ka insan zyada tar gosht ko shok se khate hen sabzi ka naam sun ke to kai logon ki bhook hi khatam ho jati he.aur jo log gosht ko apni zarurat ya apna mamool banate hen kuch hi arse baad doctar khud unhen gosht khane se mana kar dete hen qk gosht ke mustaqil istemal se unhen koi na koi bimari ho jati he.lekin sabzi men aisa kuch nahi hota.aap sari zindagi bhi sabzi khaen ge to aapko faida hi hoga kabhi nuqsan nahi hoga.sabziyon men wo sab kuch poshida he jo aap adviyat ki surat men alag alag istemal karte hen.jismani nizam ko behetreen banane ke liye sabziyan ahem kirdar ada karti hen.sabziyon men vitamin ki khasi miqdar hoti he jo insani jism ki nasho numa aur sehat ke liye be had zaruri hoti he.sabziyon men in namkiyat ki kami nahi jo daanton,haddiyon aur jism ke degar uzlaat ko mazboot aur sehat mand rakhne ke liye chahye hote hen.baaz sabziyan ham kachi bhi istemal karte hen salad ke tor par jin se hamare jism ko kafi miqdar men pani hasil hota he.hum khush naseeb hen ke hum zarai mulk ke bashinde hen jahan humen sabziyan baasani saste daamon men dastiyab hoti hen.