Fenugreek Seeds (Methi Dana) Health Benefits in Urdu
Fenugreek seeds ko Urdu main methi daana kehte hain jis kay fayde mundarja zel hain.
- Fenugreek seeds qudrat ke khazanon men se hamen ata karda ek behetreen nemat he.
- Fenugreek seeds hamare kitchen men rozmarah ke khanon men istemal hone wala masalah he.
- Fenugreek seeds men kai tarah ke vitamins aur minerales pay jate hen.
- Fenugreek seeds khanon men istemal ke saath saath is se boht si dawaiyan bhi banai jati hen.
- Baalon ke jumla-e-amraz men boht faide mand he.
- Nazla zukaam, seene ki takaleef aur balgham banne ki bimari men fenugreek seeds ka istemal boht mufeed he.
- Subha sham fenugreek seeds ka qehva shehed ke sath pine se daimi nazla khatam ho jata he.
- Fenugreek seeds khoon men shakkar ki miqdar kam karti he diabetes ke marizon ke liye boht mufeed he.
- Raat bhar bhigoey hue methi daane ko subha nehar moo chabane se motapa kam hota he.
- Fenugreek seeds kamar dard aur dard-e-jigar ko door karti he.
- Fenugreek seeds hazme ko durust karti he.
- Damme ke marizon ko fenugreek ka joshanda men shehed mila kar pilane se boht faida hota he.
- Fenugreek seeds men vitamin A,B aur C ke ajza shamil hote hen.
- Fenugreek seeds ke istemal se peshab khul kar ata he aur masana mazboot hota he.
- Masane ki sardi men fenugreek seeds sab se ahem ghiza aur dawa he.