white cumin seed(safed zeera) health benefits in urdu
cumin seeds
cumin health benefits
ground cumin
cumin benefits
cumin seeds benefits.
cumin seed dar asal sonf ki shakal ka baarik hota he.iski 3 qismen hen siyah,safed aur sunehri amber.amber beej sab se zyada istemal hota he.cumin seed ka mizaj garam khushk hota he is men protien aur iron ki wafir miqdaar hoti he.garam masalon men iska shumaar hota he.khanon men is ka istemal zyada kiya jata he.cumin seed jahan khanon men istemal ke liye aam he.wahan iske deegar fawaid bhi be shumar hen.cumin seed apni deegar medicated salahyaton se bhi mala maal he.cumin seed ke kai fawaid khanon ke saath saath beroni tor par bhi milte hen.cumin seed men vitamin E bhi paya jata he jis se jild ki har qisim ki bimari se nijat milti he.cumin seed ke istemal se infection aur fungal se bhi nijat milti he.chehre par parhne wali jhuryon aur linon ka khatma bhi cumin seed se kiya ja sakta he.cumin seed meda,jigar aur aanton ko quwat bakhshta he.garmi peda karta he aur riyah aur waram ko tehleel karta he.balgham ko kam karta he.jism ko dubla karta he aur hazam men madad deta he.doodh pilane wali maon ka doodh barhata he.iska istemal mukhtalif qisim ke cancer se mehfooz rakhta he.cholestrol kam karta he.pur sukoon neend lata he.iske istemal se gurde behtar tariqe se kaam karte hen.