Beetroot (Chukandar) Juice Health Benefits in Urdu
Beetroot Meaning in Urdu:
beetroot | چقندر |
Beetroot Benefits in Urdu and Hindi:
- Beetroot bhi dosre phal aur sabziyon ki tarah qudrat ka anmol tohfa he.
- Beetroot juice bhi kai tibbi fawaid ka hamil he.
- Ye bhi aur phalon aur sabziyon ki tarah qabz door karta he.
- Taza beetroot juice ke rozana ke istemal se cancer se bacha ja sakta he.
- Chukandar ke istemal se cancer aur diabetese ke khilaf mudafati quawat barhti he.
- Beetroot juice ke rozana ke istemal se gurde aur masane ki pathri nikal sakti he.
- Chukandar se gurde aur masane ka warm bhi door ho jata he.
- Beetroot juice yarqan ke marz men bhi mufeed he.
- Beetroot juice gathya ke marz men bhi mufeed he bashrtye ke diabetes na hon.
- Research se ye baat sabit hui he ke beetroot juice ke baqaida istemal se blood pressure ko normal rakha ja sakta he.
- Ye juice dil ke dore se mehfooz rakhta he.
- Khoon se fasid madon ko nikalta he.
- Jild ki rangat ko nikharta he.
- Dimaghi salahyaton men izafa karta he aur yadasht ko behtar banata he.
- Baalon ke jumla-e-amraz men boht mufeed he.
- Khoon ki kami ko poora karta he.fori tawanai bakhshta he.chiknai ko jism se khatam karta he aur motapa khatam karta he.
- Beetroot juice khoon ki rawani ko behtar banata he.