DUROOD-E-NARIYA gonagon rohani israr ka khazeena he balke is men husool-e-ma’arfat ka raaz chupa hua he.jise aarifon aur waliyon ke siwa koi na jaan saka is liye ahl-e-rohaniyat men is DUROOD-E-NARIYA ko boht ahemiyat hasil he.lehaza jo shakhs DUROOD-E-NARIYA ka israr janna chahe ise chahye ke murshid kaamil se ijaazt le kar DUROOD-E-PAAK ki daawat parhe.DUROOD-E-NARIYA ki daawat parhne ka ye tariqa he ke kisi tanhai wali jagah par 40 din ke liye gosha nasheeni ikhteyar kare aur din ke waqt roza rakhe aur chilla ke doraan raat din DUROOD-E-NARIYA parhe phir dekhiye parda-e-gheb se is par ajeeb-o-ghareeb israar zahir honge.dunyavi faida ye he ke DUROOD-E-NARIYA ko parhne wala hamesha ranj-o-gham aur pareshaniyon se mehfooz rehta he.lehaza jab kisi par koi museebat aey to foran DUROOD-E-NARIYA ka wird karna chahye.INSHAH ALLAH TA’ALA musibat foran khatam ho jaey gi.yani zehmat rehmat men tabdeel ho jaey gi.
Benefits of Durood-e-Nariya in Urdu
Urdutotke brings you the benefits of reading Durood e Nariya in Urdu and Hindi.