benefits of figs
figs health benefits
black mission fig
dried figs health benefits
fig benefits.
figs ko jannat ka phal bhi kaha jata he.ye duble patle or kamzor logon k liye besh baha nemat he.figs jism ko farba or sidyol banata he.chehre ko surkh o safed rangat ata karta he.anjeer ka shumar aam or mashhoor phalon men hota he.figs ek chota khushk meva he.jisme beshumar fawid ormutadid khuas hen.jin men chand ahem tareen ka hum yahan zikar kar rahe hen.
1;NIZAM E INHEZAM KI BEHETRY
figsk 3 tukrhe 5 grm resho(fiber) per mushtamil he.jo rozana ki zarurat ka 20% pura karta he.figs qudrati tor par qabz kusha khushk meva he.jo aap ko qabz se mehfooz rakhne k elawa nizam e inhezam ki karkardagi ko behtar banata he.
WAZAN MEN KAMI
figs men resho se bharpoor hone k elawa kuch khas qisim ki kelories bhi pai jati hen.lehaza wo log jo apna wazan ghatana chahte hen.wo log figs ka zaroor istemal karen qk figs men sirf 47 kelories hoti hen.
BLOOD PRESSURE
khoon k dabao k shikar afrad k jism men sodiam or potasium ki sitah mutanasib nahi rehti.or figs ka istemal is mutanasib ko bahal karne men nehayat mufeed sabit hoa he. potasium se bharpoor blood pressure ko kam kar sakti he.
CANCER SE BACHAO
figs ka istemal ye anti oxident cancer se bachao ka bhi moajab he.
HADIYON KI MAZBOOTI
figs calsium se bharpoor he.1khushk anjeer rozana ki zarurat ka 5% hissa banti he.is ka istemal hadiyon ko mazboot banata he.
DIBATIES (SUGAR)
figs men qudrati sugar hoti he jo masnoi sugar k istemal ko kam kar k faida pohnchati he.
KHOON KI KAMI
1 fig insani jism ko rozana darkar iron ki 2% zarurat ko poora karti he.or iron ki mutanasib miqdar na milne se insan khoon ki kami ka shikar hojata he.
TOLIDI NIZAM
Qadeem uloom k mutabiq yunani quat bah ko barhhane k liye figs ka istemal karte the.figs tolidi salahyaton men izafa karti he.qk ye zink,megnesiun or megnies jese minral se bhar poor hoti he.