Benefits of Fruits and Vegetables in Urdu
Is article mai ap jan sakenge healthiest fruits and vegetables ke baare mai aur in se bimariyon ka ilaj kese mumkin hai.
Sabziyon aur Phalon se Ilaj (Health Tips):
- Bhaap ki Jalan: Agar haath ya jism ka koi hissa bhaap se jal jae to kacha aalu pees kar lagaden chand minutes mai hi kaafi aram mehsoos hoga, kache aalu lagane se jalan mai kami hojaegi.
- Zyada Cheenke Rokne ke Liye: Sabz dhania soongne se zyada cheenkhen aana band hojati hai.
- Aadhe Sar Ka Dard: Leemu ke chilke pees kar sar aur peshani par malne se aadhe sar ka dard jata rehta hai. Ya phir thore se zyada pise hue lehsun mai thora sa shehed milalen. (Shehed aur Lehsun ki miqdar barabar ho) aur jis janib dard ho us taraf kanpati par laip ki tarha lagaen. Dard mai fori afaaqa aega.
- Maide ka Alser: 2 adad kache kele len aur chilke utar kar kele ko dhoop mai sukha len aur phir koot kar safoof banalen. Khali pet adha chae ka chamach pani ke saath 4 din tak khaen. afaaqa hoga.
- Allergic ka khatma: Allergy kisi bhi tarha ki ho agar band gobi rozana khali pet 50 gram salad ya aise hi khaen to 20 din tak khane se allergy khatam hojaegi.
- Hichkiyan Band Karna: Ganderiyan choosne se hichkiyan band hojati hain.
- Pait ka Dard: Kachi adrak agar har khane mai ooper se shamil karlia jae to pet ke dard aur pet ke uphaare ke liye mufeed hai.
- Dil ki Ghabrahat: Saib aur gaajar ka murabba dil ke liye bohot mufeed hai. Gaajar ka halwa bagher ghee ke dil ke mareez ke liye bohot mufeed hai. Aalu bukhara aur lehsun dil ke imraz mai bohot faida pohonchate hain. Amrood khane se dil ke imraz aur ghabrahat khatam hojati hai. Nihar mun saib doodh ke saath khane se dil ke imraz mai afaaqa hota hai.
- Be Khwabi: Agar neend na arhi ho to ek surkh sa tamatar len, is ko koot kar cheeni chirak kar khane se be khwabi door hojati hai. Agar neend na ane ki shikayat ho to sone se pehle piyaz khaen salad ya kisi or khane mai. Fruit chaat khane se bhi neend na ane ki shikayat door hojati hai.
- Mirgi ka Marz: Safed piyaz ke arq ke chand qatre mirgi ke mareez ke naak mai daalen is se mareez ko fori aram ajaega.
- Gurday ka Dard: Kheera, kakri aur tarbooz khane se dard e gurda ka marz khatam hojata hai aur jisko na ho is ke qareeb nahi ata. Piyaz ka ras 25 gram subah nihar mun peete rehne se gurde ki phatri reza reza hokar kharij hojati hai.
- Mooh Ke Chaale: Sabz Dhania lekar is ka arq nikalen aur chaalon par lagaen, chaalen door hojaenge.