Benefits of Surah Rehman in Urdu:
- SURAH REHMAN husn-e-ebarat aur husn-e-tarz ke lehaz se QURA’AN PAAK ki zeenat he.
- SURAH REHMAN ki barhi fazilat he, agar koi shakhs kisi bimari men mubtila ho to wo SURAH REHMAN ki tilawat suna kare INSHAH ALLAH ALLAH ke fazl-o-karam se shifa hasil hogi.
- Jis shakhs ke tamam badan men dard hota ho ise chahye ke is surat SURAH REHMAN ko parh kar maqam-e-dard par dam kare INSHAH ALLAH sehat hogi.
- Agar khud na parh sake to kisi doosre se parhwa kar ya kisi se likhwa kar apne paas rakhe.
- BAFAZL-E-KHUDA tamam amraz se shifa paey ga.aashoob-e-chashm ke liye bhi nafa he.
- SURAH REHMAN ko likh kar aur dho kar pina barhi hui tilli ke liye mufeed he.
Next: Surah Ar Rahman