Benefits of Surah Yaseen in Urdu

Benefits of Surah Yaseen in Urdu 1
70 / 100

There are many benefits of reciting Surah Yaseen. Some benefits are discussed below.

SURAH YASEEN subha o sham parha karen khas kar ke naza ki haalat men ya mayyat par parh len is liye ke HADEES SHAREEF men aya he,

“SURAH YASEEN QURA’AN-E-KAREEM KA DIL HE”

 

Benefits of Surah Yaseen in Urdu

  • Jo shakhs bhi is ko mehez ALLAH TABARAK-O-TA’ALA aur akhrat ke liye parha kare ga is ki zarur maghfirat kar di jaey gi aur isko marne walon par (naza ke waqt) parha karo.
  • Surah Yaseen ko hifz-o-imaan ke liye 41 baar parhna barha mufeed he.
  • Mushk za’afran se likh kar aise shakhs ko pilana jis ke jism par safed dagh(bars ya dhaba) hon to foran khatam ho jaey ga. Isi tarah jo shakha piye is ko noor-e-imaan naseeb ho aur kashaf baatini hasil ho.
  • Dushmanon par fatha-o-nusrat paey.
  • Doston men izzat mile.
  • Jo shakhs safar men raasta bhool jaey to yaseen shareef ko parhe rasta mil jata ho.
  • Jis aurat ko bacha janne men pareshani ho to surah yaseen ko parh kar pani par dam kar ke pilaya jaey to asani ho jaey gi.
  • Surah yaseen ghol kar pilane se doodh pilane wali aurat ka doodh barh jata he.
  • Agar cheeni ke bartan par likh kar aur arq-e-gulab se dho kar pilaya jaey to INSHAH ALLAH wo sahib-e-aulad ho.
  • Surah yaseen hamesha parhne wala jadu,aaseb aur degar afaat-o-balyat se hamesha aman men rahe ga.
  • Rozana parhna deen-o-dunya ki halal mushkilaat ke liye mufeed he.
  • Yaseen Shareef parh kar dam karna bimar ke liye ba’as-e-shifa he.
  • Koi shakhs bhi yaseen shareef jis matlab ke liye bhi parhe ga ALLAH TA’ALA us ki haajat poori karega.

Next Post: Surah Yaseen Read Online

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *