bottle gourd(lauki) health benefits in urdu
bottle gourd juice
lauki juice for weight loss
bottle gourd health benefits
calabash gourd
bottle gourd weight loss.
bottle gourd jise (lauki,ghiya aur kaddu) bhi kehte hen.iski taseer thandi hoti he.iska rang baher se hara aur andar se safed hota he.size men ye lambi ya gol hoti he.is men ghizayat ke lehaz se vitamins aur tawanai boht hoti hen.garam mizaj logon,jawano,garmi,khushki aur qabz ke marizon ke liye ye giza bhi he aur dawa bhi he.hukma ne bottle gourd se boht se la ilaj or khatarnak bimaryon ka ilaj kiya he.bottle gourd dil o dimagh aur jigar ko quwat aur farhat bakhshta he.masane ki garmi ko door karta he aur peshab ki jalan ko khatam karta he.tip diq ke marizon ko bottle gourd misri ke sath khilaen.bottle gourd blood pressure aur khoon ki garmi ko khatam karne men be misal he.jab blood pressure high mehsoos ho to foran bottle gourd ka juice bana kar pi len(1/2 pao bottle gourd ko chilke samet kaat kar 1 glass pani men pakaen jab 1 cup reh jaey to thanda kar ke chan kar pi len) foran blood pressure normal ho jaeyga.bottle gourd dimdghi kamzori door karta he hafza tez karta he.is ke istemal se baalon ke amraz khatam ho jate hen.aankhon ki kamzori ko door karta he.jism men pani ki kami ko poora karta he.