breastfeeding health benefits for baby in urdu
benefits of breastfeeding
breastfeeding benefits
advantages of breastfeeding
importance of breastfeeding
benefits of breastfeeding for baby
breast milk benefits.
breastfeeding ke beshumar fawaid hen jo ke maa aur bache dono ke liye boht mufeed hen.maa ka doodh ALLAH ki taraf se diya hua ek anmol tohfa he.breastfeeding direct bache ke moo men jata he jo ke fazai aludgi,milwat aur gandagi waghera se paak hota he.breast feeding men just ki miqdar hoti he.jo ke bache men quwat barhati he aur bache ki sehat ke liye achi hoti he.maa ke khoon se maadanyat ek khas tarteeb se aakar maa ke doodh men shamil ho kar bache tak pohonchti he.jis ki wajah se bache ki sehat achi rehti he.breastfeeding karne wale bache influelza ke virus se bache rehte hen.bache ke bimar hone ki soorat men breastfeeding hi sab se mehfooz aur zod hazam ghiza he.breastfeeding karne wale bache khoon ki kami ka shikar nahi hote.shuru ke 3 din breastfeeding men protien zyada hoti he jo ke bache ki quwat-e-mudafeat ko mazboot banati he.is tarah bacha amraz se mehfooz rehta he.breatfeeding men paey jane wale ajza bachon ko mozi amraz se bachate hen.breastfeeding men zyada harare nahi hote is liye bachon ke jism men charbi nahi hoti.breastfeeding karne wale bache motape ka shikar nahi hote.breastfeeding wale bache seene ki bimariyon se bache rehte hen.