Urdutotke provides you the best dua for fever in Urdu and Roman Hindi. Treatment of fever is also mentioned in this post.
Bukhar ki Dua:
1: Jab kisi shakhs ko sardi lag ke bukhar aey to SURAH AL A’RAF KI AYAT NO 143 ko 7 martaba parh kar pani par dam kar ke mareez ko pilaeyn.INSHAH ALLAH araam ajaey ga.
2: Agar kisi mareez ko boht tez bukhar ho to PARA NO 17 SURAH ANBYA KI AYAT NO 69 ko parh kar mareez par dam karen.INSHAH ALLAH bukhar kam ho jaey ga.
Bukhar ka Ilaaj:
- Agar bukhar sardi ka ho to chai pine se bukhar utar jata he.
- Agar bukhar garmi ka he to mareez ko imli ka pani pilaeyn.
- Bukhar men seb zyada khane se bukhar chala jata he.
- Halke bukhar ki surat men ganne ka ras pilana chahye.
- Naaryal ka pani pine se bukhar kam ho jata he.
- Agar bukhar boht tez ho to bakri ka doodh sar,moo,hathon ki hatheliyon aur paon ke talwon par lagane se bukhar jaldi utar jata he.
- Agar bukhar loo lagne ki wajah se ho to pyaz ka ras sar,chehra,hathon aur peron par male jaldi aram ajaey ga.
- Bukhar ke doran sirf sabziyon aur phalon ka zyada istemal karen.
- Bukhar jesa bhi ho tamatar ka istemal bukhar ke zor ko torh deta he.
- Methi aise Patton wali sabzi he. Jis ke istemal se bukhar door ho jata he.