Cham Cham Recipe in Urdu and Hindi
Cham Cham banane ka tariqa:
Ingredients:
Phitkari 1 tola
cheeni 1 seer
pani 1-1/2 pao
baking powder 1/4 chamach
Tarkeeb:
Doodh karahi ya khule mun ki degchi mai charha den.Ubaal aane kay baad aanch tez hi rehne den.
Ta kay bagher balai pade kholta rahe. Doodh 10 ya 15 minute tak kholne den phir phitkari pees
kar daal den. is tarha doodh phat jaega. phate hue doodh ko malmal kay kapre mai daal kar tamam
pani nichor jane den. Phir sookhe hue doodh ko sil par saaf karen ya machine mai pees len. phir
munasib size ki tikia banakr desh mai rakh len. ab pani aur shakkar mila kar qawam banaliye.
Qawam tayar hojae to is mai tikia dal de.Aadhe ghante tak halki aanch par pakaiye jab chasni tikiyon mai jazb hojae to cham cham tayar hai.Ab aap cham cham wale thal ya tasla ko terha kar kay rakhe ta k izafi chashni nikl jae phir cham cham ko mehfooz kar le aur thandi kar k nosh farmaen.
پھٹکری ایک تو لا
چینی ایک سیر
پانی ڈیڑھ پاو
بیکنگ پاؤڈر ایک چوتھا ہیچمچ