Urdutotke provides you best wazifa and treatment of chicken pox in Urdu and Roman Hindi.
Chicken pox(khasra) ki dua:
7 Daane chawal ke le kar har ek daane par ek ek martaba SURAH KOSAR parh kar dam karen.aur ek ek daana kar ke mutasera bache ko khilaeyn.INSHAH ALLAH bimari khatam ho jaey gi.
Chicken pox(khasra) ka elaj;
- Khasra ek choot ki bimari he jo zyada tar bachon ko hota he.lekin is bimari men umar aur insan ki koi qed nahi he.dunya men jitne bhi janwer ya cheezen hen jese paharh aur darakht waghera in sab ko khasra zindagi men ek baar zarur hota he.
- Khasra ek tarah ka infection he jo ke virus se peda hota he.jab kisi bache ka bukhar na utar raha ho to ise khasra nikalna hota he.khasre ki alaamat men poore jism men daane hote hen.sar se le kar paon tak.ye daane bhi 7 qisim ke hote hen.
- Har kisi ko alag alag daane nikalte hen.aur har qisim ke daano ko theek hone men bhi alag alag waqt darkar hota he.kuch daane 3 din men theek ho jaate hen.kuch daane 5 din men aur kuch daane 7 din men theek hote hen.
- Is tarah 7aton daanon ki timing alag alag hoti he.aur jab ye daane nikalte hen to ghar men koi naach gana,shor sharaba,laal kaprhe pehenna nahi hota.aur gosht,machli,murghi aur anda nahi pakaya jata.in sab cheezon se ye barhta he.kafoor ko pees kar naryal ke tel men mila kar bachon ko lagaeyn.
- Agar khasra barhe bachon ko ho to neem ke patte ko achi tarah dho kar pees kar choti choti goliyan bana len.aur subha shaam pani ke sath len.wese in daano ki apni apni timing he ye apne time pe hi khatam hote he.