cinnamon(daarcheeni) health benefits in urdu
cinnamon benefits
benefits of cinnamon
health benefits of cinnamon
benefits of cinnamon and honey
cinnamon for health.
cinnamon dar asal darakht ki sukhi hui chaal hoti he mizaj men garam hoti he.cinnamon ka shumaar garam masalhon men hota he.cinenamon ko zyada tar khanon ke zaiqe aur khushboo ke liye istemal kiya jata he.maahireen-e-sehat ka kehna he ke cinnamon ka istemal khanon men boht si beemariyon se bachata he.tibbi tehqiqat se sabit hua he ke cinnamon ka istemal cholestrol ko kam karne men madad deta he.is ke elawa ye dil ki bimaryon aur sharyanon men khoon jamne se rokti he.shehed men mila kar khane se quwat-e-mudafeat barhane men madad milti he.cinnamon ko khane men mila kar istemal karne se bacteria ki afzaish men kami ho jati he.1 tea sp pisi hui cinnamon aur 5 tea sp shehed men mila kar paist bana len aur jis daant men dard ho wahan lagaen theek ho jaey ga.cinnamon ko halka sa tawe par bhoon len aur pees kar rakh len aur rozana subha sham khane ke 1 ghante baad 1/2 tea sp pani ke saath phank liya karen 7 dinon men cholestrol,high blood pressure aur sugar normal level men ajaey gen.cinnamon sharyanon aur wareedon men jami hui chiknai ko saaf kar deti he.rozana 1 tea sp cinnamon powder shehed ke saath khane se haddiyon ka dard door ho jata he.jism ko mukhtalif infection se bachati he.cinnamon ke istemal se yaadasht men bhi izafa hota he.