Cucumber Health Benefits for Skin in Urdu
Kheere ke fawaid in urdu:
- Kheere ke andar maadniyat waafir miqdar mai mojood hoti hain. Kheere ka juice bohot zyada tibbi ehmiyat ka hamil hai. Khususan maide ki tezabiyat rafa karne ke liye ye akseer hai. Ye qabz ki shikayat khatam karta hai.
- Kheera jild ka bhetreen dost hai. Ise kash kar ke chehre, ankhon aur gardan par 15 se 20 tak lagaen rakhen to ye behtreen tonic ka kam karta hai.
- Kheere ke juice main lemon juice aur arq e gulab milakar chehre par malne se apka rookha aur chikna chehra roshan hojaega, kheere ka juice aur doodh barabar miqdar mai lekar is mai chand qatre arq e gulab miladen aur 15 se 20 minute tak chehre par malen to apki hasaas jild naram aur mulaim hojaegi. Ye loshan halke bleaching agent ka kam karti hai.
- Ankhen band kar ke in ke ooper kheere ke slice kaat kar rakhden aur 15 minute tak rehne den to ankhon ke gird pare hue siyah halke door hojaenge aur ankhon mai chamak ajaegi.
- Kheere ka juice baalon ki afzaish mai bhi madad deta hai. Kheere ke makeup kit mai mundarja zel ashiya shamil hoti hai. Potasium, sodium, gandhak, colrine aur florine.