Urdutotke provides you benefits of milk and dates in Urdu and Roman Hindi.
Doodh ke sath khajoor khane ke faide:
- Doodh pina boht achi baat he.doodh har insaan ko pina chahye chahye wo bacha ho ya boorha,jawan ho ya nojawan.doodh har umar ke logon ko faida hi pohnchati he.lekin doodh ke sath agar dryfruits ya fruit mix ho jay to kiya hi baat he.agar aap daily doodh ka istemal karte hen to ye boht hi achi baat he.
- Doodh ke sath khajoor ya chuarey ko doodh men paka ke khane ke boht se faide hen.1/2 kilo doodh le kar is men 2 chuarey daal kar paka len.doodh ko itna pakaeyn ke doodh 1 pao reh jaey ab doodh ko neem garam hone ke liye rakh den.jab doodh neem garam ho jaey to pehle chuarey nikal kar kha len.phir doodh pi len.
- Ye amal rozana raat ko sone se pehle karen.is ke istemal se kamzori door hoti he.body sehat mand aur taro taza hoti he.dil ki ghabrahat door hoti he.dimagh ko taqat milti he aur haafza tez hota he.chehre ko khoobsurat aur purkashish banata he.
- Doodh aur khajoor ke istemal se body men chusti aur tarotazgi peda hoti he.mardana o zanana kamzori ko bhi door karta he.agar aap ko in men se koi bhi masla he to aap plz ise istemal karen INSHAH ALLAL aap ko be had faida hoga.