dua mangne ke aadab in urdu
dua ke adaab
dua kaise qabool hoti hai
dua qabool hone ki dua
allah se madad ki dua
musibat se bachne ki dua.
1; dua mangne ke liye khane,pine,pehenne aur kamane men haram se bachna.
2; dua mangne ke liye ALLAH TA’ALA ke liye ikhlas ka hona.
3; dua mangne se pehle koi nek kaam karna.(sadqa dena ya namaz parhna waghera).
4; dua mangne ke liye (napaki,najasat,gandagi aur ghalzat se) pak aur (mel kuchel) se saaf suthra hona.
5; dua mangne ke liye wazu karna,qibla ki taraf rukh karna.
6; dua mangne se pehle aur akhir men ALLAH TA’ALA ki hamd-o-sana karna.
7; dua mangne ke liye 2 zaano bethna.
8; dua mangne ke liye pehle namaz-e-hajat parhna.
9; dua mangne ke liye dua ke awal-o-akhir men RASOOL-E-PAK par darood-o-salam bhejna.
10; dua mangne ke liye dono hath phela kar dua mangna.aajizi aur inkisari ikhtiyar karna.
11; dua ke waqt qolan aur amlanALLAH TA’ALA ke shayan-e-shan adaab-o-ahetram ko ikhteyar karna.
12; dua mangte waqt nigah aasman ki janib na utthana.
13; AMBIYAH(A.S) ke waseele se mangna.ALLAH TA’ALA ke nek bandon ke waseele se mangna.
14; dua men awaz ko past rakhna.apne gunahon ka iqrar karna.
15; SUNNAT ke tariqe par amal karte hue dua mangna lazim he.