durood-e-hazara ki fazilat in urdu
durood-e-hazara ki fazilat
durood e hazara
darood e hazara benefits
benefits of durood-e-hazara.
DUROOD-E-HAZARA taalban-e-ruhaniyat ka mehboob durood he qk is durood se salkeen ko rohani manazil tai karne men boht asani ho jati he.aur RASOOL ALLAH S.A.W.W ki khas shafqat enayaat aur tawajah hasil hoti he.aam hazraat ke liye bhi ye durood ZIYARAT-E-NABVI S.A.W.W boht moassar aur akseer he.lehaza jo shakhs HUZOOR-E-PAAK S.A.W.W ki ziyarat ka khuahish mand ho to ise chahye ke ramzan-ul-mubarak men ye durood DUROOD-E-HAZARA rozana tahajjud ke waqt 1000 martaba parhe.INSHAH ALLAH boht jald ziyarat se sarfgaraz hoga.1000 baar DUROOD-E-HAZARA parhne se 1000 nekiyon ka sawab milta he.aur 100 haajaten poori hoti hen.dunyavi fuyuz-o-barkaat hasil karne ke liye DUROOD-E-HAZARA ko har namaz ke baad 11,11 baar parhna boht behtar he.gham aur fikar aur mushkilat se nijaat hasil karne ke liye ise baad namaz-e-fajar 100 baar parhna chahye INSHAH ALLAH dil ko sukoon hasil hoga aur tamam mushkilaat door ho jaengi.