Eid Ul Fitr Ki Namaz Ka Tarika
Eid ki namaz ada karne ka tarika:
Pehle is tarha niyat kare kay mai 2 rakat wajib namaz e eid 6 wajib takbeeron ke saath parhta hoon aur muqtadi imam ki iqtida ki bhi niyat kare. Niyat ke baad takbeer e tehreema Allah Hu Akbar kehte hue dono hathon ko kaano tak utha kar naaf ke neeche baandh le. Aur subhanaka Allahumma aakhir tak parh kar 3 martaba Allahu Akbar kahe aur har martaba takbeer e tehreema ki tarha dono hathon ko kaanon tak uthae.
Aur 2 takbeeron ke baad hath chorde aur teesri takbeer ke baad hath bandh le aur har takbeer ke itni der to qaf ki jae kay 3 martaba Subhan Allah kaha ja sake. Hath bandhne ke baad Imam Aa uu Zubillah Bismillah parh kar Soorah Fatiha aur koi Soorah parhe aur muqtadi khamosh rahe phir rukoo kia jae muqtadi bhi Imam ke sath haath utha utha kar takbeer kahe aur baqi namaz doosri namazon ki tarha poori ki jae.