elaj-e-azam ya baariu benefits in urdu
ya baariu benefits
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA BAARIU (JAAN DAALNE WALA,HAR CHEEZ KO ADAM SE WAJOOD MEN LANE WALA)”
WO JIS NE HAR CHEEZ MUTANASIB AUR BE MISAAL TAKHLEEQ KI HE.
tabib is ism YA BAARIU ko hamesha paabandi se parhe to is ke hath men shifa hogi.
YA BAARIU ka bakasrat zikar karne se zaya-e-ajeebiya ka ejaad asan ho jata he.
namaz-e-maghrib ke baad agar 7 din musalsal YA BAARIU ka wird kiya jaey to ALLAH TA’ALA jaanasheen ata farmaten hen.
jo koi YA BAARIU ko 244 baar parhe iski jo bhi muraad hogi wo poori hogi.
jo koi hafte ke din YA BAARIU 100 baar parhe ga ALLAH TA’ALA isko jannat-ul-firdos ki taraf le jaey ga.
jo shaks 7 din tak is ism YA BAARIU ko rozana 100 martaba parhe ga ALLAH TA’ALA ise amraaz se shifa aur aafaat se salamti ata farmaen ge.