elaj-e-azam ya hafeezo benefits in urdu
ya hafeezo
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA HAFEEZO (SAB KA MUHAFIZ, HIFAZAT KARNE WALA,WO JO TAMAM KAYNAT KA MUHAFIZ HE AUR MUQARARA MUDAT KE LIYE NAGAHANI AAFATON AUR HADSAT SE MEHFOOZ RAKHTA HE)”.
jo shakhs is ism YA HAFEEZO ka bakasrat wird kare ga aur likh kar apne paas rakhe ga INSHAH ALLAH wo har qisim ke khof-o-khatar aur nuqsan se mehfooz rahe ga.
jo is ism YA HAFEEZO ko 16 baar parhega INSHAH ALLAH har tarah se nidar rahe ga.
ye ism YA HAFEEZO khofnak safar men hifazat ke liye be had mufeed he.hatta ke agar ise parh kar darindon ke darmiyan so jaey to INSHAH ALLAH nuqsan nahi pohncha paey ga.is ism ke zikar ke baad 3 baar ye dua parhen(YA HAFEEZO AHFIZNI).
jo shakhs ghar se nikalte hue ya sawari par bethte hue ya phir kisi kaam ki ibteda karte hue 11 baar YA HAFEEZO parh le to har hadse,pareshani,dukh dard,chori daketi se bacha rahe ga.agar khane pine ki cheezon par parh kar khaen piyen to har bimari,takleef,nazr-e-bad,jaadu aur hasad se hamesha hifazat rahegi.
jo shakhs rozana 16 baar is ism YA HAFIZO ka wird karega wo har qisim ki aafat se mehfooz rahe ga.
jo ye ism-e-mubarak YA HAFEEZO kisi bimar par 40 hafte tak 70 baar roz parh kar dam kare ga INSHAH ALLAH tandurust ho jaey ga.