elaj-e-azam ya jaleelo benefits in urdu
ya jaleelo
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua ism e azam its benefits isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA JALEELO (BUZURGI WALA, BULAND MARTABE WALA, WO JO GHANI,HAKIM AUR MUQADDAS HE)”.
jo koi is ism YA JALEELO ko 73 baar parha kare INSHAH ALLAH sahib-e-waqqar ho.
jo koi is ism YA JALEELO KO 10 BAAR APNE ASBAAB par parhe chori se mehfooz aur salamat rahe.
jo bakasrat YA JALEELO ka wird kare ga aur mushk-o-za’afran se likh kar piye ga aur apne paas rakhe ga ALLAH TA’ALA is ko INSHAH ALLAH izzat-o-azmat aur qudr-o-manzilat ata farmaey ga.
agar koi shakhs is ism YA JALEELO ko mushk-o-za’afran se kaaghaz par likh kar mitti ke koze men is ko pani men ghole aur isko pi le to isko INSHAH ALLAH dunya men izzat aur qadr-o-manzilat hasil ho.