elaj-e-azam ya kabeero benefits in urdu

ya kabeero isme azam isme azam in quran isme azam dua ism e azam its benefits isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA KABEERO (BOHOT BARHA, WO JO AZEEM TAREEN HE)”.
YA KABEERO ka bakasrat zikar karne se ilm-o-ma’arfat ka darwaza khulta he.
agar YA KABEERO ko khane ki cheez par parh kar miyan biwi ko khilaya jaey to baahimi ulfat peda ho.
agar koi shakhs YA KABEERO ka rozana 100 baar wird kare to wo dunya ki nigahon men moazi-o-mohtaram ho jaey ga.
jo koi is ism YA KABEERO ko parhe makhlooq ki nazron men mumtaz aur buland martaba ho.
jo is ism YA KABEERO ko 9 martaba kisi bimar par parh kar dam kare INSHAH ALLAH bimar tandurust ho jaey ga.
YA KABEERO badshahon aur hukkam ka wazifa he wo agar in ka ahtemam karen to inka rob rahe aur muhimat bakhoobi sar anjam paeyn.
jo is ism YA KABEERO ko 100 baar parhe ga makhlooq men aziz rahe ga.