elaj-e-azam ya khafizu benefits in urdu
ya khafizu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA KHAFIZU (PAST KAR DENE WALA,APNE NA MAANNE WALON KO ZILLAT DETA)”.
jo koi zalim se darta ho wo har roz YA KHAFIZU 70 baar parha kare zalim ke zulm se bacha rahe ga.
jo koi YA KHAFIZU ko boht parhe haakim har waqt is se raza mand rahe.
jo is ism YA KHAFIZU ko 1000 baar parhe ga INSHAH ALLAH tamam dushmanon se mehfooz rahe ga.
jo shakhs 3 roze rakhe aur 4the roz majlis men is ism YA KHAFIZU 70,000 baar wird kare to isko apne dushmanon se nijaat haasil hogi.
jo is ism YA KHAFIZU ko 500 baar parhe ga INSHAH ALLAH is ki haajat poori hogi.aur iski pareshani door hojaey gi.dushman ke sadme se bach jaey ga aur HIFAZAT-E-ELAHI is ke shamil-e-haal rahe gi.