elaj-e-azam ya lateefu benefits in urdu
ya lateefu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA LATEEFU (BARHA LUTF-O-KARAM KARNE WALA,AEY LUTF-O-KARAM FARMANE WALE)”.
YA LATEEFU ko ba kasrat parhne wale ki har hajat poori hoti he.mushkilat men asani peda hogi.mizaj men latafat aur nafasat peda hogi.
jo shakhs 133 baar YA LATEEFU ko parha kare INSHAH ALLAH is ke rizq men barkat hogi aur iske sab kaam ba khoobi poore honge.
agar koi shakhs muflis aur be madad gaar ho jaey to namaz ke baad 2 nafil ada karne ke baad 100 baar YA LATEEFU ka wird kare to iski har muraad bar aey gi aur khush haal hoga.
pareshaniyon aur museebat se nijat ke liye YA LATEEFU ka wird karna mufeed he.
bimariyon se shifa ke liye is ism YA LATEEFU ke sath koi bhi ayat-e-shifa parh li jaey to INSHAH ALLAH faida hoga.
betiyon ke rishte ke liye aur naseeb khulne ke liye aur amraz se sehat ke liye har roz wazu ki namaz ke baad 100 baar YA LATEEFU ka parhna mufeed he.