elaj-e-azam ya mateen benefits in urdu
ya mateeno
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA MATEENO (BOHT MAZBOOT-O-MUSTAHEKAM,WO JO SAB SE ZIYADA MAZBOOT-O-MUSTAHEKAM HE)”.
jis aurat ka doodh kam ho ya na ho to ye ism YA MATEENO kaaghaz par likh kar dho kar pilaen INSHAH ALLAH khoob doodh hoga.
jo YA MATEENO ka ba kasrat wird kare ga iski mushkil asaan ho jaey gi aur INSHAH ALLAH haajat poori hogi.
jis bache ka doodh churhaya gaya ho aur sabar na karta ho ise bhi ye ism YA MATEENO likh kar pilaen INSHAH ALLAH sabar kare ga.
jo koi mulki mansab chahta ho wo itwar ke din pehli saa’at men isi niyat se 360 baar ye ism-e-mubarak YA MATEENO parhe INSHAH ALLAH saahib-e-mansab ho jaey ga.
agar koi shakhs kisi mushkil men phans jaey to isko chahye ke wo is ism YA MATEENO ka wird kare to INSHAH ALLAH ise is mushkil se nijaat hasil hogi.