elaj-e-azam ya mohiyu benefits in urdu
ya mmohiyo
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA MUHIYU (ZINDAGI DENE WALA,WO JO ZINDAGI AUR SEHAT ATA KARNE WALA HE)”.
jo YA MUHIYU ko rozana 1000 baar parhne ka maamool banaey ga INSHAH ALLAH iska dil zinda ho jaey ga aur badan men taqweet peda hogi.
jo shakhs YA MOHIYU 89 baar parh kar apne opar dam kare ga wo har tarah ki qed-o-band se INSHAH ALLAH mehfooz rahe ga.
jo kisi ke qeher se darta ho to roti ke 1 tukrhe par 58 baar ye ism YA MOHIYU parh kar khaey INSHAH ALLAH mehfooz rahe ga.
jo shakhs bemar ho wo bakasrat iska wird rakhe ya kisi dosre par ye ism-e-mubarak YA MOHIYU parh kar dam kare INSHAH ALLAH sehat yaab ho jaey ga.
jo is ism YA MOHIYU ko bakasrat parhe ga INSHAH ALLAH iska dil munawwar ho jaey ga.
jis ko kisi se judai ka andesha ho ya qed ka khof ho is ism-e-mubarak YA MOHIYU ko kasrat se parhe.