elaj-e-azam ya musawwiro benefits in urdu
ya musawwir
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA MUSAWWIRO (AEY HAR EK KO SOORAT DENE WALE,WO TAMAM CHEEZON KO SHAKAL ATA KARTA HE)”.
agar koi aurat 7 din tak roza rakhe aur ghuroobe aaftab ke baad aftaar se pehle 21 baar ye ism-e-mubarak YA MUSAWWIRO parh kar 1 glass pani men dam kare aur baanjh aurat ko pilaey to INSHAH ALLAH iska baanjh pan khatam ho jaey ga.
YA MUSAWWIRO baa kasrat wird karne se zaya-e-ajeebiya ka aejaad asaan ho jata he.
YA MUSAWWIRO ka baa kasrat wird karne se mushkil kaam asaan ho jate hen.
jo YA MUSAWWIRO ko pani par parh kar dam kare aur ise pi le to aala martaba paey.
jo koi wazu karne ke baad shahadat ki ungli se YA MUSAWWIRO ko peshani par likhe to jis se mulaqat ho wo iska dost ho jaey.
jo apne bistar par aakar 7 baar ye ism YA MUSAWWIRO parhe aur phir ham bistiry kare to ALLAH TA’ALA ise nek aulaad ata farmae ga.