Elaj-e-Azam Ya Zahiro Benefits in Urdu

Elaj-e-Azam Ya Zahiro Benefits in Urdu
10 / 100

Asma-e-Husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.

Elaj-e-Azam Ya Zahiro Benefits in Urdu

“YA ZAHIRO (ZAHIR-O-AASHKAR,WO JO KAINAT KI HAR SHAI MEN ZAHIR HE AUR KAINAT KI HAR SHAI IS KE MOJOOD HONE KI GAWAHI DETI HE)”.

agar koi ghar ki deewar par ye ism-e-mubarak YA ZAHIRO parhe INSHAH ALLAH deewar salamat rahe gi.

YA ZAHIRO arbaab makaashfaat ka zikar he.

jo koi surme par 11 baar ye ism-e-mubarak YA ZAHIRO parh kar aankhon par lagaey log is par meherbani karenge.

agar barish waghera ka khof ho to ye ism-e-mubarak YA ZAHIRO kasrat se parhe INSHAH ALLAH amaan paey ga.

jo jumme ke din 500 martaba ye ism YA ZAHIRO parhe ga iska baatin purnoor hoga aur INSHAH ALLAH dushman maghloob hoga.

jo shakhs jumme ki namaz ke baad 15 baar is ism YA ZAHIRO ka wird kare ga to ALLAH TA’ALA is ke qalb ko munawwar farmaey ga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *