Eye Brows Makeup Tips in Urdu
How to make Eye Brows in Urdu:
Ankhon ki khubsurti ka ek hissa eye brow ka bhi hota hai jis ka khubsurat aur shape mai bhi hona zaroori hai. Eye Brow ek tarha se ankhon ki frame ki hesiat bhi rakhti hai aur jab tak ye proper ap ki ankhon ke mutabiq shape mai na ho ankhon mai ek kami payi jati hai.
Zyada tar khawateen makeup ke doran eye brow par dhiyan nahi deti hain ye theek nahi hai kiuin ke eye broz banane mai thora waqt lagta hai. Normal aur siyah eye brow aram se ban jati hain. Inhen shape dene mai bhi itni problem nahi hoti. Jan ke typical eye bro ho to inhen shape dene mai waqt lag jata hai. In ko shape dene mai zyada waqt darkar hota hai. Zyada tar khawateen ko aarch shape pasand hoti hai aur aarch shape dene mai kafi waqt lag jata hai kiun ke aankhon ke lihaz se inhen shape dia hai.
Eye Bro banane ke liye threading ka istemal kia jata hai. Is ke liye makhsoos qism ka thread istemal hota hai. Ap aam thread se bhi bana sakti hain. Magar eye brows thread hi istemal karen to zyada behter hai. Is ke ilawa kuch khawateen waxine ke zariye bhi aai broz banati hain. Donon eye brows ek hi shape mai bani honi chahiye aur iska khayal banane wala rakhta hai.
Eye brows apni ankhon ke mutabiq banwani chahiye. Jese agar apki ankhen normal hain to ap eye brows banwate waqt ankh ke ek kinare se doosre kinare tak inhen aarch shape mai le jaen. Agar apki ankhon ke darmiyan faasla hai to ap apni eye brows ki ibteda naak ki haddi ke qareeb se karen aur ankh ke doosre hisse tak eye brow ki line kheenchen, yaani round shape den. Is tarha se apki aankhen munasib faasle se ek doosre se qareeb nazar aengi. Agar apki eye brows halki hai to ap black ya brown pencil se ise numayan kar sakte hain. Eye brows ki 3 qism hoti hain jo zyada tar khawateen pasand karti hain.
- Arch
- Round
- Straight