Urdutotke provides you benefits and uses of glycerin for beauty in Urdu and Roman Hindi.
Benefits and uses of glycerin for beauty:
- Glycerin ko milk cream men mila kar 10 mint ke liye lagaeyn aur neem garam pani se dho len is amal se khushk aur khurduri jild ko aram milta he aur jild narm-o-mulaim ho jati he.
- Glycerin ko limo aur arq-e-gulab mila kar raat ko sone se pehle lagaeyn aur subha dho len.is amal se chehre ke daagh dhabbe khatam hote hen aur chehre par nikhar ata he.
- Glycerin ko sandal powder aur besan men mila kar pest banaeyn aur 20 mint ke liye chehre par lagaeyn aur phir taza pani se dho len.hafte men 2 se 3 baar ye amal karen is se chehre par chamak aur taro tazgi aey gi.
- Glycerin ko badam ke oil men mila kar chehre par massag karne se jhuryon ka khatma ho jata he.
- Glycerin ko raw milk men mila kar behetreen cleanser tayar hota he.cotton ki madad se is mixture se chehre ki safai karen chehra dho kar dobara ye amal karen.is se face clean ho jata he.