Health Benefits and Uses of Grapes in urdu and hindi
Grapes Uses and Health Benefits in Urdu – Angoor Ke Faide Aur Is Kay Istemal :
Angoor ka rang sabzi maail zard aur siyah hota hai.Kacha angoor tarsh hota hai jab kay paka hua sheeren hota hai.
Angoor Kay Fayde:
1 – Angoor mai carbohyderate, Protein, Vitamin A, Vitamin C, Calcium aur Iron paae jate hain.
2 – Angoor Dil, Jigar, Dimaag aur Gurdon ko taqat deta hai.
3 – Angoor chehre ka rang nikharta hai.
4 – Khansi ko khatam karne kay liye angoor kay ras mai shehed milakar istemal karen.
5 – Aurton kay doran-e-hamal angoor kay ras mai shehed milakar istemal karen.
6 – Lecoria ki soorat mai khawateen ko chahiye kay wo angoor kay juice mai ek chamach shehed milakar piyen to yaqeenan marz door hojaega. Ye khorak 10 din kay liye hai.
7 – Bandish haiz mai angoor kay juice mai ek chamach shehed aur do adad chuware pees kar istemal karen.
8 – Maade ki tezabiyat angoor kay istemal se door hojati hai bashart ye kay meetha ho.
9 – Angoor kay ras mai shehed aur aam ka gooda teeno hum wazan milakar rozana khae jae to na sirf chehre ka rang nikharta hai. Bal kay ankhon kay gird halqe bhi door hojate hain.
10 – Angoor dawa bhi hai aur giza bhi hai.Is liye is ko khane mai mukammal ehtiyat ki jae. Tarsh angoor se parhez kia jae aur taza aur ache angoor khae jae to yaqeenan sehat achi rahegi.
Is post mai ap janenge angoor kay faide , angoor dil, gurda, dimmagh , jigar aru chehre aur aurton kay bohot mufeed hai.