High Blood Pressure Treatment in Urdu and Roman Hindi

high blood pressure ka totka

Urdutotke.com brings you the best treatment for high and low blood pressure in desi style. In this article you will know that how to control blood pressure from fruits and groceries.

Blood strain is the force at which blood pumps from the coronary heart into the arteries. A normal blood pressure studying is much less than 120-80. when blood pressure is excessive, the blood actions thru the arteries more forcefully. This places accelerated strain at the delicate tissues in the arteries and damages the blood vessels.

To save you excessive blood stress, each person should be encouraged to make life-style adjustments, along with ingesting a healthier eating regimen, quitting smoking, and getting more workout.

Blood Pressure Ke Liye Desi Nuskha:

Aaj kal ki tez raftar zindagi main aksar log waqt ki kami ke baais khane peenay main be aitedali, warzish ki kami, aur zehni tanao ki waja blood pressure ka shikar hojate hain aur phir is ko control mai karne ke liye musalsal adwiyat ka istemal karte hain. Jis se deegar khatarnak imraz ka shikar hojane ka bhi khatra hota hai.

Maahreen blood pressure ko qaabu karne ke liye gharelu nuskhe tajveez karte hain jo blood pressure ko control mai rakhti hain jab ke in 7 gharelu nuskhon se blood pressure ke imraz se chutkara haasil kia ja sakta hai.

Banana (Kaila):

High blood pressure ke mareez agar rozana 1 ya 2 kaile khalen to is se ye marz qaabu mai rehta hai. Kiun ke kaila ghizai ajza aur potasium se bharpoor hota hai jo hamare jism mai 10% se zaaid sodium (Namkiyat) ke asar ko kam kar sakta hai aur gurdon ki hifazat mai bhi kirdar ada karta hai.

Pepper (Kaali Mirch):

Kali Mirch mai antioxidant aur antiseptic khususiyat hoti hain jis ka roz marra zindagi mai istemal khoon ki shariyanen khulti hain jis se khoon ki rawani ko poore jism tak rasai haasil hoti hain. Sab ke barh kar ye ke blood pressure ki sharah ko qudrati tor par kam satah par laane mai madad gaar saabit hoti hain.

Onion (Piyaz):

Rozana piyaz ka istemal karne wale mareezon ka blood pressure adwiyat ka istemal karne walon ke muqable behter hota hai kiun ke piyaz antioxidant maado se bharpoor hoti hain jo diabetes aur cancer jese bimariyon ke liye behtreen hai.

Honey (Shehed):

Shehed aisi ghiza hai jo qudrati tor par meetha hone ke saath saath kayi bimariyon ke ilaj ke liye bhi mufeed istemal kia jata hai aur shehed mai mojood carbohyderate dil ki taraf se khoon ke pressure ko kam karta hai. 2 hafton tak raat ko sone se pehle 1 glass neem garam doodh mai 2 chamach shehed milakar peene se blood pressure jese bimari se bacha ja sakta hai.

Fenugreek Seeds (Methi Daane):

Bari methi sardiyon ki wo sabzi hai, Jis mai Iron, Fasforus aur Calium (Vitamin A,B and C) miqdar mai paya jata hai Pakistan aur Hindustan mai ise khane mai istemal kia jata hai. Is ke na sirf patte bal ke beej bhi ilaj ke liye istemal kiye jate hain. Kiun ke methi ke daanon mai bari miqdar mai mojood potasium blood pressure ko barhne se rokta hai.

Garlic (Lehsun):

Wo khatarnaak awamil jo shiriyanon ko sakht karne ke baais bante hain. In ke ilaj ke liye lehsun bohot mufeed hai, High blood pressure mai kache lehsun ki 1 phaank rozana khane se bohot jald blood pressure mai kami laai ja sakti hai. Lehsun high cholesterol aur high blood pressure ka ilaj karta hai aur shiriyanon mai platelets ko jama hone mai rokne ke saath dil par zyada khoon ke pressure se barhne wale asraat se bhi rokta hai, Jab ke khane mai lehsun bhi deegar bimariyon se hifazat karta hai.

Lemon (Leemu):

Leemu jism mai mojood shiriyanon ko na sirf sakhta hone se bachata hai bal ke khoon ki rawani ko bhi kam rakhta hai Kiun ke Leemu mai mojood vitamin C free redicals ke nuqsan da asraat se bachata hai aur leemu antioxidant hone ki waja se khoon ki shiriyani ko naram aur lachakdar banata hai.

 

high blood pressure ka gharelu ilaj

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *