How to do whitening manicure and pedicure in urdu
Manicure Pedicure ka Tarika in Urdu:
- 2 khane ke chamach roghan zaitoon ko 3 gram pani mai milakar is mai hathon aur paaun ko bhigo kar rakhen is tarha hathon aur paaun mai narmi ajaegi.
- Kheere aur Aelo Vera ko hath par ragarne se bhi rang saaf hota hai.
- Chand badam lekar inko raat bhar ke liye pani mai bhigoden subah inko cheel len aur is ke baad is mai ek chamach besan, ek chamach doodh aur chand qatre leemu kaa ras milakr achi tarha mix kar ke paste banalen. Ye paste hathon aur paaun mai aahistagi se lagaen aur chand minute baad dholen. Ye haath aur paaun ko gora aur saaf karne ka mufeed totka hai.
- Tamatar ke juice ke masaaj karne se hathon aur paun ki jild naram aur mulaim hojati hai.
- Halke garam sarson ke tel mai namak milakar masaaj karne se bhi haath aur paaun saaf suthre rehte hain.
- Chand qatre leemu kaa ras glycerine mai daal kar hathon mai malne se haath naram aur mulaim hojate hain.
- Ek chamach shehed , ek chamach leemu ka ras aur ek chamach doodh ka powder ko achi tarha mix kar ke paste banalen aur apne hathon aur paaun par 10 minute tak laga rehne den. Is ke baad dholen. Is se haath aur paaun ki jild safed hojaegi.
Next urdu tip: Home Remedies for Hair Removal Facial in Urdu