Psyllium (isabgol) health benefits in Urdu
isabgol side effects
psyllium husks side effects
psyllium fiber benefits
psyllium husk dosage
isabgol benefits
psyllium husk weight loss
psyllium husk benefits.
psyllium ka poda boht mashoor he.psyllium ka chilka aur beej dono hi dawai ke liye istemal hote hen.psyllium faide ke aitbar se aanton aur mede ko naram aur hamwar banane aur ghaleez fasid maadon ko apne sath mila kar kharij karne wala aur peshab aavar juzu he.psyllium ko jab pani men bhigoya jata he to boht sara lesdar mada peda hota he.mede ke enzimes is lesdar made par amal nahi karte lehaza ye lesdar mada aanton men bagher hazam hue inki deewaron ko naram karte hue guzar jata he.psyllium daimi qabz ko door karne ka qudrati zarya he.aur side effects se pak he.psyllium ka lesdar mada alsar ke opar teh bana deta he jis se alsar ko theek hone men madad milti he.psyllium lesdar made men ALLAH TA’ALA ne ye khoobi rakhi he ke ye nuqsan deh becteria ke peda kiye hue mada ko jazb kar leta he aur ise be asar bana deta he.psyllium mede aur aanton men mojood kafi miqdar men pani ko jazb kar leta he iski shakal jelly ki tarah hoti he jo ke aanton ko kharash se mehfooz rakhta he.tezabiyat ko khatam karta he aur ishaal aur daimi pechish men bhi mufeed he.psyllium khoon men barhe hue chollestrol ko kam karta he.