jujube(ber)health and hair benefits in urdu

jujube(ber)health and hair benefits in urdu 1

jujube(ber)health and hair benefits in urdu

jujube(ber)health and hair benefits in urdu
                                                                        jujube fruit
                                                                     jujube benefits
                                                                 jujube fruit benefits
                                                                    jujube nutrition
                                                            jujube fruit health benefits.

jujube ek thandi taaseer ka phal he.jujube men vitamin a,b aur cki kaafi miqdaar hoti he.jujube men cacium,iron aur phosphorus bhi kaafi miqdar men hota he.in cheezon ke elawa jujube men glucose bhi hota he jo jism ko fori tawanai deta he.jujube ke istemal se mede aur aanton ki kamzori door ho jati he.jujube ko bhoon kar dust aur pecheesh men istemal karate hen.jujube ke istemal se khoon saaf hota he aur khoon ke zehreele maade kharij ho jate hen.rozana 8 se 10 jujube khane se chehre ke daagh dhabbe saaf ho jate hen aur chehra surkh aur tarotaza ho jata he.agar kisi ki nakseer phoot gai ho to jujube ke patton ko pees kar kanpttiyon par is ka lep karne se aram ajata he.jujube ke patton ko pani men ubaal kar is pani se sar dhone se baal lambe,mazboot aur chamakdaar ho jate hen aur khushki bhi door ho jati he.aur baal girna bhi band ho jate hen.baaz oqaat bachon aur barhon ki aanton men keerhe ho jate hen jis ki wajah se sehat khrab rehne lagti he.in keerhon ko kharij karne ke liye jujube ko kuchal kar in ka pani 24 grm se 128 grm tak pani pilana mufeed hota he.is pani ke istemal se keerhe kharij ho jate he.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *