Kali Mirch (Peppercorns) ke Faide in Urdu
Kali Mirch ko english mai Black Peppercorns kaha jata hai. (Kali Mirch in English)
Kali mirch health benefits in hindi and Urdu:
Kali mirch ka nam kis ne nahi hoga. Ye dunia bhar mai aam istemal ki jani wali aur ba asani dastiyab mirch hai. Kali mirch ko masaalho ki malika bhi kaha jata hai. Kali mirch dar asal ek phal dar bel hoti hai. Jise kasht karne ka maqsad is ka phal haasil karna hota hai. Ise khushk karne ke baad masaalhe ke tor par istemal kia jata hai. Pakistan ke maqbool akhbar qudrat roznama ke mutabiq kali mirch ka khano mai istemal sadiyon se jari hai. Ye na sirf kahne ka zaiqa barhati hai balke jism ko kayi iqsam ki bimariyon aur nuqsan pohonchane wale jaraseem se bhi mehfooz rakhte hain. Pait ki bimari ke liye bhi kali mirch bohot mufeed hai.