Khajoor ki ehmiyat aur faide hadees aur sunnat ki roshni mai
Dates : (Khajoor)
Is ka rang siyah surkhi maail ya surkh siyahi maail hota hai. Is ka zaiqa shereen aur mizaaj garam o tar hota hai. Is ki miqdar khorak ek chataak se ek pao tak hota hai.
Benefits of Dates: (Khajoor kay faide)
1 – Khajoor khoon paida karti hai. Badan ko farba karti hai.
2 – Jab rasool Sallalahu Alaihi Wasallam ne Makka se Madina hijrat ki to ehl-e-madina ne khajoor kay patte hila hila kar istemal kia.
3 – Khajoor achi sehat kay liye ek behtreen tonic hai.
4 – Bukhari shareef ki ek hadees kay mutabiq rasool Sallalahu Alaihi Wasallam ne subah main khajoor khane ki hidayat ki
5 – Baaz mufsereen ne surah marium ki tafseer bayan karte hue khajoor ko haamla aurton kay liye mufeed bataya hai.
6 – Rasool Sallalahu Alaihi Wasallam ne beemari kay baad kuch dino tak khajoor khane se mana farmaya hai.
7 – Torait aur Injeel mai khajoor ka zikar 48 maqamaat par aya hai. Is tarha khajoor ki ehmiyat aur bhi wazah hojati hai.
8 – Huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam khajoor kay sath tarbooz bhi khate the.
9 – Khajoor ko App Sallalahu Alaihi Wasallam ne roti kay sath bhi khaya.
10 – Hazrat Muhammad Sallalahu Alaihi Wasallam jis ghar mai khajoor hogi wo log kabhi bhooke ni marenge.
11 – Khajoor se roza iftar karna sunnat hai kiun kay din bhar kay faaqe kay baad tawanai kam hojati hai is liye aisi cheez iftari kay liye zaruri hoti hai jo jald hazam ho aur taqat de. Ye khoobiyan khajoor mai mojood hain
Khajoor khane ke fayde. Benefits of Dates,
Khajoor Ke Fawaid
کھجور
اس کا رنگ سیاہ سرخی مائل یا سرخ سیاہی مائل ہوتا ہے . اس کا ذائقہ شیریں اور مزاج گرم و تر ہوتا ہے . اس کی مقدار خوراک ایک چھٹاک سے ایک پاؤ تک ہوتا ہے
کھجور کے فوائد
١ – کھجور خون پیدا کرتی ہے .بدن کو فربہ کرتی ہے
٢ – جب رسول صلی الله علیہ وسلّم نے مکّہ سے مدینہ ہجرت کی تو اہل مدینہ نے کھجور کے پتے ہلا ہلا کر استعمال کیا
٣ – کھجور اچھی صحت کے لئے ایک بہترین ٹانک ہے
٤ – بخاری شریف کی ایک حدیث کے مطابق رسول صلی الله علیہ وسلّم نے صبح میں کھجور کھانے کی ہدایت کی
٥ – بعض مفسرین نے سورہ مریم کی تفسیر بیان کرتے ہوئے کھجور کو حاملہ عورتوں کے لئے مفید بتایا ہے
٦ – رسول صلی الله علیہ وسلّم نے بیماری کے بعد کچھ دنوں تک کھجور کھانے سے منع فرمایا ہے
٧ – توریت اور انجیل میں کھجور کا ذکر ٤٨ مقامات پر آیا ہے . اس طرح کھجور کی اہمیت اور بھی واضح ہوجاتی ہے
٨ – حضورصلی الله علیہ وسلّم کھجور کے ساتھ تربوز بھی کھالیتے تھے
٩ – کھجور کو آپ صلی الله علیہ وسلّم نے روٹی کے ساتھ بھی کھایا
١٠ – حضرت محمّد صلی الله علیہ وسلّم نے فرمایا کے جس گھر میں کھجور ہوگی وو لوگ کبھی بھوکے نہیں رہینگے
١١ – کھجور سے روزہ افطار کرنا سنّت ہے کیوں کہ دن بھر کے فاقے کے بعد توانائی کم ہوجاتی ہے اس لئے ایسی چیز افطاری کے لئے ضروری ہوتی ہے جو جلد ہضم ہو اور طاقت دے . یہ خوبیاں کھجور میں موجود ہیں